Aaj ki ek behes
Mudda - school result and demotivating "***" people
Jab insan khudko kisi dusre se niche paata h to wo khudka level dekhne ke badle us dusre person ka kisi tisre person ke sath compare karta h jo us dusre person se upar ho
Isse hota ye h ki unke dimag ko orgasm milta h😂 mera matlab h Khushi milti h.. khudse compare karne per to dukh hi milega isliye kisi aur bade person se compare karta taki ab jaake wo dusra person niche dikh sake..
Isse hota ye h ki dimag ko accha lagta h ki are ye to kuch nhi.. isse bhi upar wo h... Ye nhi dekhta ki khudse upar h wo dusra wala
Isliye exam ka result agar kuch bhi ho dusro ke kuch kehne per dhyan na de.. agar aap class test me top kiye.. to wo log unit test ke topper ke sath compare karke apko nicha dikhayenge.. agar aap unit test me top kiye to wo log final ke topper ke sath compare karke nicha dikhayenge.. agr aap final me bhi top kiye to kisi aur school ke kisi bacche ka compare karke kahenge are asli topper to wo h..
yaha tak ki board me bhi top kiye to JEE topper ke sath compare karenge aur dosto me chugli kr apko kaise na kaise nicha dikha hi denge
Inme se kuch mere sath bhi hua h aur sabke sath hota.. kuch apko appreciate karte.. kuch demotivate karte.. aur kuch *** samne appreciate karte aur piche kisi aur ke sath compare karke gira dete najro me
Isliye aap kya h bas us per focus kare kon kya keh rha dhyan na de.. apka result kya h kaisa h aap aur apke maa baap jane bas itna kaafi h.. just Chill bro.. result se aur bato se kabhi depress na ho 🤟🏻💐
Ye darasal aaj ek log se behes ho gyi.. aur jahir se baat h itne logo ke pas result jata h.. sabhi ka din accha nhi jata result dekh.. to unke liye mai ye likha.. baki jisko nhi koi problem h to thik h koi dikkat nhi h unko nhi keh rha.. jinko result ya friend circle demotivate kare bas unke liye likha ✌🏻
ye to maine sirf padhayi related likhe kyuki mai aise phase me filhal hu jaha padhayi matter kr rha aur isse related sabhi positive negative baate, lekin tum ye kahi bhi apply krke dekh lo, even facttechz se kuch jaan skte ho yaha
Comments
Post a Comment
Click on the downward arrow beside "Anonymous" to comment using your name or gmail id